Page 106 - Quran-e-Kareem
P. 106
th
3rd Sureh Aale Imran (106) 4 para
Aur aise baagh jinke neechey nadiyaan behti hai jinmea wo hamesha
(hamesha) rahenge (toye) aur nayk amal karne waaloun ka kia hee acha
ajar hai 3:136(toye) tumse pehle bohhot se waaqiyaat guzar gaye pass chalo
phirou aur dekho k jhutlaane waaloun ka kaisa anjaam hua 3:137 ye kull
aadmiyoun k liye samajna hai aur parhezgaaroun k liye hidaayat wa
nasiyyat 3:138 aur himmat na haaro aur ranjeeda na ho halaan k agar
momin ho to tum hee ghaalib aaogay 3:139 agar tumko zakhm laga (1) to
unlogoun ko bhi aesa hee zakhm lag chukka hai (toye) aur ye to ittefaaqate
zamaana hai jo hum aadmiyoun k darmiyaan ulath pher karte rehte hai
(jeem) aur iss liye k khuda jaan le k imaan laane waale kaun hai aur tum
hee mea se baaz ko gawah banaale (toye) aur allah zaalimoun ko dost nahi
rakhta 3:140(laa) aur issliye (bhi)k khuda imaan laane waaloun ko khaalis
karey aur kaafiraoun ko mithaade 3:141 ya tumne ye gumaan kiya tha na k
baheesht mea chale jaaogay? Halaan k uss waqt (2) tak

