Page 101 - Quran-e-Kareem
P. 101
th
3rd Sureh Aale Imran (101) 4 para
Dikhaayenge phir unki madad naa ki jaayegi 3:111 kahin paayejaayein
unke liye (1) zillat dee gayi hai siwaaye iske k khuda k ehed aur
aadmiyoun (2) ki ehed k panah mea aajaaye aur ghazab e khuda mea
giraftaar huye aur unnper tangdasti ki maar parhi (toye) ye issliye k wo
aayate khuda ka inkaar kiya karte they (toye) nayz issliye k naa farmani
kiya karte they aur had se guzar jaaya karte they 3:112(qaaf) sab baraabar
nahi hai (toye) ahle kitaab mea se ek grow saabit khadam hai jo raatoun
ko aayat e khuda parhte aur sajde kiya karte hai 3:113 wo khuda aur
qayamat k din per imaan rakhte hai aur nayki ka hukum dete hai aur
badee se manah karte hai aur nayk kaamoun mea ek dusre se barhne ki
koshish karte hai (toye) aur yahee log swalha(saalayheen) mea se hai 3:114
aur jo nayki (bhi) wo karenge uski naa khadri na ki jaayegi aur allah
parhezgaaroun (k haal) se aagah hai3:115 beshak jo kaafir hogaye na unke
maal

