Page 113 - Quran-e-Kareem
P. 113
th
3rd Sureh Aale Imran (113) 4 para
(aye rasool)tum kehdo k ye tumhaari apni taraf se hai (toye) beshak allah
her shay per khaadir hai 3:165 aur jo kuch museebat tum per uss din parhi
jiss din do grow ki muutbher hui to wo khuda k hukum se thi (aur issliye
thi) k khuda mominoun ko jaan le 3:166(laa) aur unko bhi jaan le jo
munaafiq hogaye they (jeem) (swat) aur unse jab ye kaha gaya k aao khuda
ki raah mea larho ya dafaa hee karo (toye) to kehne lagey agar pehle se
humko laraayi ki khabar hoti to hum tumhaari pairwee hee na karte (toye)
uss din wo (munaafiq) imaan ki ba nisbat kufr se zyaada qareeb they
(jeem) apnay munh se wo kehte hai (2) jo kuch unke diloun mea nahi hai
(toye) halaan k jo kuch wo chupaate hai usse khuda khoob aagah hai
3:167(jeem) jo log laraayi se bayth rahey they aur unhoney apnay
bhaayoun k baare mea ye kaha tha k agar wo hamaari itaayat karte to
khatl na kiya jaate (toye) tum unse kehdo k agar sachey hoto apni hee
jaanoun se maut ko taal do 3:168 aur jo log raah e khuda mea khatl kiye
gaye hai (3) unko hargiz hargiz murda na khayal karna (toye) balke wo
zinda hai aur apnay rabb k pass rizk paate hai 3:169(laa) allah ne apnay
fazl se jo kuch unko diya hai

