Page 68 - Quran-e-Kareem
P. 68

nd
                                                                                                rd
               2  Sureh Al-baqara                          (68)                                3  para

               Ghadey ki taraf dekho aur taake hum tumko aadmiyoun k liye nishaani

               banaaye aur haddiyoun ki taraf dekho k hum kiss taraf unko jorh dete hai


               phir unnper gosht charaate hai (toye) pass jiss waqt ye baat unnper khul


               gayi to kehne lagey mea khoob jaanta hun k beshak allah her shay per

               (pooi poori ) khudrat rakhne wala hai 2:259 aur (uss waqt ko yaad karo )


               jab k ibrahim ne arz ki thi k aye mere parwardigaar mujhey dikhaade k tu

               murdoun ko kyun ker zinda kiya karta hai (toye) farmaya kia tum imaan


               nahi laaye ?(toye) arz ki imaan zaroor laaya hun lekin issliye k mera khalb


               mutmayeen hojaaye (toye) farmaya to chaar parinday lo phir unke tukre

               tukre karke milaaker her her pahaad per unka ek ek tukra daaldo phir


               unko bulaao wo tumhaare pass daudte chaley aayenge (toye) aur ye


               samajlo k khuda zabardast (aur) hikmat wala hai 2:60(35AIN3-3) misaal

               unki jo apna maal raah e khuda mea surf karte hai uss daane ki see misaal


               hai jo saath baalein(pod in English) ugaayen k her baal mea 100 daane ho


               aur allah jiske liye chaahe barha deta hai (toye) aur allah saaheb e wussat

               aur ilm hai 2:261 jo log apnay maal
   63   64   65   66   67   68   69   70   71   72   73