Page 53 - Quran-e-Kareem
P. 53
nd
2 Sureh Al-baqara (53) 2nd para
Tumko tumhaare deen se hataadein (toye) aur jo tum mea se apnay deen
se phir jaayega aur kufr ki haalat mea marjaayega to aise logon k aamal
dunya wa aakherat mea ekaarat (bekaar) hojaayenge (jeem) aur yahee
jahannumi hai (jeem) jismea wo hamesha (hamesha) rahenge 2:217 beshak
jo log imaan laaye aur jinhonay hijrat ki aur raah e khuda mea jehad kiye
wahi rehmat e khuda k umeed waar hai aur allah badha bakhashne wala
(aur) rehem karne wala hai 2:218 log tumse sharaab aur qumaar baazi (1)
k baare mea daryaaft karte hai tum kehdo k in dono mea badha gunah hai
aur logon k kuch faayede ( bhi )hai halaanke indono ka gunah in dono k
faayede se barhker hai (toye) aur tumse daryaaft karte hai k kharch kiss
khaddar karein (toye) tum kehdo k jo tumhaari jaayez zaroorat se (2)
zaayed ho(toye) iss tarah allah tumhaare liye ehkaam kholker bayaan karta
hai taa k tum ghour o fikr karo 2:219 (laa) dunya k bare mea (bhi) aur
aakherat k baarey mea (bhi) (toye) aur log tumse yateemon(3) k baare
mea daryaaft karte hai (toye) tum kehdo k unki (haalat ki) islaah karna
behtar hai aur agar

