Page 638 - Quran-e-Kareem
P. 638
29 Sureh Al-ankaboot (638) 20 para
th
th
Aur jiss waqt hamaare bheje huye (farishte ) ibraahim k paas khush khabri
lekar aaye (laa) to unhonay kaha k hum iss basti k rehne waaloun ko
halaak karne waale hai (jeem) beshak iske paashinday {rehne waale} naa
farmaan hai 29:30(jeem)(qaaf)(swat) farmaya k iss mea to luut bhi hai
(toye) unn (farishtoun) ne kaha k jo (jo) ismea hai hum unse khoob waqif
hai (zaal)(qaff) (wow) hum zaroor unko aur unke kunbey waaloun ko
najaat dedenge siwaaye unki zouja k (zaal)(qaaf) jo peechey rehne waaloun
mea se hogi 29:31 aur jiss waqt (wahi) hamaare bheje huye (farishte) loot k
paas aaye unko unka aana nagawaar hua aur unke baarey mea apnay
aapko kotadast paaya to unhoney kaha k na tum daro aur na ranjeeda ho
(qaff) hum tumko aur tumhaare kunbey waaloun ko najaat dene waale hai
siwaaye tumhaari zouja k jo peechay rehne waaloun mea se hogi 29:32
beshak hum iss basti k rehne waaloun per bawaja iske k naafarmani kiya
karte hai aasmaan se azaab naazil karne waale hai 29:33 aur yaqeenan
humne unn logoun k liye jo aqal rakhte hai ussi basti ko ek nishaani
banaaker chor diya hai 29:34

