Page 640 - Quran-e-Kareem
P. 640
29 Sureh Al-ankaboot (640) 20 para
th
th
Usko cheekh ne aaliya (jeem) aur koi aesa tha k usko humne zameen mea
dhasaa diya (jeem) aur koi aesa tha k usko humne dubodiya (jeem) aur
allah ka ye kaam nahi hai k unnper zulm karey lekin wo apni jaanoun per
khud hee zulm kiya karte they 29:39 unn logoun ki misaal jinhonay allah k
siwaa dusre kaarsaaz banaliye hai makri ki see misaal hai (jeem)(swat) jisne
ek gher banaaya (toye) halaanke boday se boda gher (1) makri ka hai
(meem) kaash wo iss baat ko jaante hotay 29:40 yaqeenan Allah uss cheez
ko jisse wo uske siwaa pukaarte hai jaanta hai (toye) aur wo zabardast
(aur) hikmat wala hai 29:41 aur ye misaaleyn bayaan to hum kul
aadmiyoun k liye karte hai (jeem) halaanke siwaaye ahle ilm k samajta
inko ek bhi nahi 29:42 Allah ne aasmaanoun ko aur zameen ko gharz
sahee k saath payda kiya hai (toye) beshak inn mea imaan laanewaaloun k
liye nishaani moujuud hai 29:43(4AIN14-12)

