Page 642 - Quran-e-Kareem
P. 642
29 Sureh Al-Ankaboot (642) 21st para
th
Hamaari aayatoun ka inkaar koi bhi nahi karta 29:49 aur inhonay ye
kehdiya k ussper iske parwardigaar se kuch nishaaniyan (moujizay) kyun
na utaari gayi (1) (toye) tum ye kehdo siwaaye iske nahi k nishaaniyan to
khuda hee k paas (yaani uske ikhtiyaar mea) hai (toye) aur mea to faqat ek
khula daraane wala hun 29:50 kia unke liye ye baat kaafi nahi hui k
humne tum per ek aisee kitaab naazil ki jo unko parh parh kar sunaayi
jaati hai (toye) beshak jo log imaan rakhte hai unke liye zaroor ismea
rehmat (2) aur naseehat (moujuud) hai 29:51(5AIN7-1) tum kehdo k
hamaare aur tumhaare maabayn gawaahi dene ko allah hee kafi hai (jeem)
wo aasmanoun mea aur zameen mea jo kuch hai usse aagah hai (toye) aur
jo log baatil per imaan laaye aur unhone allah ka inkaar kardiya (laa) wahi
to nuqsaan uthaane waale hai 29:52 aur wo tumse azaab k baare mea jaldi
karte hai (toye) halaanke agar muayyana-e-muddat {tayy shuda waqt}
naamzadd na kardigayi hoti to unnper azaab kabhi ka aa chuka hota (toye)
aur zaroor wo unko yekaayak aa lega aur unko khabar tak na hogi 29:53
wo tumse azaab ki baabat jaldi karte hai (toye) halaanke jahannum
kaafiraoun ko zaroor ghayrne wala hai 29:54(laa) jiss din azaab unko unke
ooper ki taraf se dhaanp lega aur unke paaon k neechey ki taraf se bhi

