Page 641 - Quran-e-Kareem
P. 641
29 Sureh Al-Ankaboot (641) 21st para
th
Tumhaari taraf iss kitaab mea se jo wahi kee gayi usse tilaawat karo aur
namaaz parho (toye) yaqeenan namaaz be hayaayi ki baat aur badkaari (1)
se baaz rakhti hai (toye) aur zaroor khuda ki yaad sabse barhi cheez hai
(toye) aur jo kuch tumlog karte ho allah usse jaanta hai 29:45 aur ahle
kitaab se mujaadela na karo magar ussi tarah se jo bohhot hee acha ho
(qaaf)(swat) siwaaye unke jo in mea se zaalim hogaye aur ye kaho k hum
uss per (bhi) imaan laaye hai jo hamaari taraf naazil kiya gaya aur (ussper
bhi) jo tumhaari taraf naazil kiya gaya aur hamaara maabud aur tumhaara
maabud ek hee hai aur hum ussi k farma bardaar hai 29:46 aur issi tarah
humne tumhaari taraf (bhi) ye kitaab naazil ki hai (toye) pas wo log jinko
humne (pehle) kitaab dee thi (2) ussper imaan rakhte hai (jeem) aur in
mea se koi koi imaan rakhta hai (toye) aur siwaaye kaafiraoun k hamaari
(3)aayatoun ka inkaar to koi bhi nahi karta 29:47 halaanke na tum pehle se
koi nawishta {tehreer} (4) parhte they aur na apnay daaye haath se kuch
likhte they k aisee suurat mea ye hatt dharmi kuch na kuch shak payda
karti 29:48 balke wo khuli aayatein unn logoun k seenoun mea moujuud
hai (5) jinko ilm diya gaya hai (toye) aur siwaaye zaalim logoun k

