Page 637 - Quran-e-Kareem
P. 637
29 Sureh Al-ankaboot (637) 20 para
th
th
Aur kehne lagey k mea apnay (1) parwardigaar ki taraf se hijrat karke
jaane wala houn(toye) beshak wo zabardast (aur)hikmat wala hai 29:25 aur
humne unko is-haaq aur yakhoob ataa kiye aur unki zurriyat mea
nabuuvat aur (2) aur kitaab qaraar dedi aur unka ajar unko dunia mea
(bhi) diya (jeem) aur aakherat mea (bhi) wo saaleheen mea se hongay
29:26 aur luut ko (bheja) jiss waqt k unhonay apni khoum se kaha k kia
tum wo behayaayi karte ho jo tum se pehle saari khudaayi mea kisi ne
nahi ki ? 29:27 kia tum mardoun k paas jaate ho aur (apni behuudgi k
sabab) raaste bhi rokte ho (pesh)(laa) aur apnay jalsoun mea badkaari (3)
karte ho (toye) to unki khoum k paas siwaaye iske aur koi jawaab na tha k
unhonay ye kehdiya k agar tum sachhoun mea se ho to hum per khuda ka
azaab le aao 29:28 (luut ne) arz ki k aye mere parwardigaar inn mufsid
{fasaaadi} logoun k barkhilaaf meri madad farmaa 29:29(3AIN8-15)

